dil-bhitar barsat hui hai
dil-bhītar barsāt huī hai
yuuñ bhī guzar auqāt huī hai
band darīche suunī galiyāñ
lauT chalo ghar raat huī hai
shart lagā kar jab bhī khele
khel meñ ham ko maat huī hai
biit ga.iiñ lo hijr kī ghaḌiyāñ
ḳhatm shab-e-zulmāt huī hai
is kūche aa nikle jab bhī
saath meñ ik bārāt huī hai
jis ne bhī sach bolā baḌh kar
ḳhilqat us ke saath huī hai
rūThe rūThe kyuuñ rahte ho
kuchh to kaho kyā baat huī hai
itnā baḌā ilzām hai ham par
itnī zarā sī baat huī hai
hifz bayāz-e-mīr hai jis ko
us ko atā sauġhāt huī hai
qufl-e-tilism-e-harf khulā hai
sharh-e-kitāb-e-zāt huī hai
vaqt-e-nuzūl-e-sher hai 'ḳhusrav'
sub.h ga.ī ab raat huī hai
dil-bhitar barsat hui hai
yun bhi guzar auqat hui hai
band dariche suni galiyan
lauT chalo ghar raat hui hai
shart laga kar jab bhi khele
khel mein hum ko mat hui hai
bit gain lo hijr ki ghaDiyan
KHatm shab-e-zulmat hui hai
is kuche aa nikle jab bhi
sath mein ek baraat hui hai
jis ne bhi sach bola baDh kar
KHilqat us ke sath hui hai
ruThe ruThe kyun rahte ho
kuchh to kaho kya baat hui hai
itna baDa ilzam hai hum par
itni zara si baat hui hai
hifz bayaz-e-mir hai jis ko
us ko ata saughat hui hai
qufl-e-tilism-e-harf khula hai
sharh-e-kitab-e-zat hui hai
waqt-e-nuzul-e-sher hai 'KHusraw'
subh gai ab raat hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.