dil bujh gaya to garmi-e-bazar bhi nahin
dil bujh gayā to garmī-e-bāzār bhī nahīñ
ab zikr-e-bāda-o-lab-o-ruḳhsār bhī nahīñ
apnā thā ḳhalvatoñ meñ kabhī partav-e-jamāl
qismat meñ ab to sāya-e-dīvār bhī nahīñ
shikva zabāñ pe phuul se ahbāb kā ġhalat
ai dost mujh ko to gila-e-ḳhār bhī nahīñ
aayā na raas aap ko ai shaiḳh roz-e-hashr
aur lutf ye hai aap gunahgār bhī nahīñ
qaa.em huuñ apnī tauba pe maiñ aaj bhī magar
koī hasīñ pilā.e to inkār bhī nahīñ
kyā kījiye numā.ish-e-ġham ḳhūn-e-dil ke baa'd
ab ārzū-e-dīda-e-ḳhūñbār bhī nahīñ
elān-e-be-ḳhudī hai har ik qatra-e-lahū
mere junūñ kī had rasan-o-dār bhī nahīñ
nūr-e-sahar ke naam pe bhaTkeñ na qāfile
dar-asl abhī to sub.h ke āsār bhī nahīñ
vā'iz ḳhayāl-e-tauba bajā hai magar abhī
maiñ to ba-qadr-e-zarf gunahgār bhī nahīñ
dil bujh gaya to garmi-e-bazar bhi nahin
ab zikr-e-baada-o-lab-o-ruKHsar bhi nahin
apna tha KHalwaton mein kabhi partaw-e-jamal
qismat mein ab to saya-e-diwar bhi nahin
shikwa zaban pe phul se ahbab ka ghalat
ai dost mujh ko to gila-e-KHar bhi nahin
aaya na ras aap ko ai shaiKH roz-e-hashr
aur lutf ye hai aap gunahgar bhi nahin
qaem hun apni tauba pe main aaj bhi magar
koi hasin pilae to inkar bhi nahin
kya kijiye numaish-e-gham KHun-e-dil ke ba'd
ab aarzu-e-dida-e-KHunbar bhi nahin
elan-e-be-KHudi hai har ek qatra-e-lahu
mere junun ki had rasan-o-dar bhi nahin
nur-e-sahar ke nam pe bhaTken na qafile
dar-asl abhi to subh ke aasar bhi nahin
wa'iz KHayal-e-tauba baja hai magar abhi
main to ba-qadr-e-zarf gunahgar bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.