dil bujha gul hue charagh bahut
dil bujhā gul hue charāġh bahut
ġham kā tūfāñ hai baaġh baaġh bahut
nuur kī bhiik to nahīñ māñgī
jhilmilāte rahe charāġh bahut
shahryārī hī kaj-kulāh nahīñ
muflisī bhī hai be-dimāġh bahut
jaane kis haal meñ hai tū ai dost
aaj raushan haiñ dil ke daaġh bahut
biitī yaado abhī na tum mahko
hai abhī tang sehn-e-bāġh bahut
koī sho.ala uñDel 'sāġhar' meñ
munjamid haiñ dil-o-dimāġh bahut
dil bujha gul hue charagh bahut
gham ka tufan hai bagh bagh bahut
nur ki bhik to nahin mangi
jhilmilate rahe charagh bahut
shahryari hi kaj-kulah nahin
muflisi bhi hai be-dimagh bahut
jaane kis haal mein hai tu ai dost
aaj raushan hain dil ke dagh bahut
biti yaado abhi na tum mahko
hai abhi tang sehn-e-bagh bahut
koi shoala unDel 'saghar' mein
munjamid hain dil-o-dimagh bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.