dil chaak-chaak ishq mein hai sina dagh-dagh
dil chaak-chaak ishq mein hai sina dagh-dagh
Karamat Ali Shaheedi
MORE BYKaramat Ali Shaheedi
dil chāk-chāk ishq meñ hai siina dāġh-dāġh
is chāk-o-dāġh se ho ḳhiyābān bāġh-bāġh
kyoñ daaġh ko na ho mire dil kī qabā pasand
sahrā-e-vahshatoñ se ye dil aur kulāġh daaġh
chāk-e-dil-o-jigar meñ basā jab se soz-e-ishq
jaltī hai aag ishq se aur haiñ ujāġh daaġh
furqat meñ terī sāqiyā ġham kā huuñ mehmāñ
merī sharāb ḳhūn-e-jigar hai ayāġh daaġh
hote haiñ laakh naaz rafīq-e-shafīq ko
bejā nahīñ hai dil se kare gar dimāġh daaġh
maiñ tere dūd-e-zulf se ai sham.a tīra-roz
merī shab-e-siyah se falak kā charāġh daaġh
apnā sabaq hamesha rahā ain-o-shīn-o-qāf
tahsīl se hamārī haiñ ahl-e-dimāġh daaġh
rahzan tarīq-e-shauq meñ hai ḳhvāhish-e-dalīl
gar ātish-e-talab hai zabān-e-surāġh daaġh
jāñ-soz-tar thā vasl 'shahīdī' firāq se
āshiq kī sair-gasht se haiñ baaġh dāġh-dāġh
dil chaak-chaak ishq mein hai sina dagh-dagh
is chaak-o-dagh se ho KHiyaban bagh-bagh
kyon dagh ko na ho mere dil ki qaba pasand
sahra-e-wahshaton se ye dil aur kulagh dagh
chaak-e-dil-o-jigar mein basa jab se soz-e-ishq
jalti hai aag ishq se aur hain ujagh dagh
furqat mein teri saqiya gham ka hun mehman
meri sharab KHun-e-jigar hai ayagh dagh
hote hain lakh naz rafiq-e-shafiq ko
beja nahin hai dil se kare gar dimagh dagh
main tere dud-e-zulf se ai shama tira-roz
meri shab-e-siyah se falak ka charagh dagh
apna sabaq hamesha raha ain-o-shin-o-qaf
tahsil se hamari hain ahl-e-dimagh dagh
rahzan tariq-e-shauq mein hai KHwahish-e-dalil
gar aatish-e-talab hai zaban-e-suragh dagh
jaan-soz-tar tha wasl 'shahidi' firaq se
aashiq ki sair-gasht se hain bagh dagh-dagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.