dil chhoD ke har rahguzar DhunDh raha hun
dil chhoD ke har rahguzar DhunDh raha hun
Rahmat Ilahi Barq Aazmi
MORE BYRahmat Ilahi Barq Aazmi
dil chhoḌ ke har rāhguzar DhūñDh rahā huuñ
baiThe haiñ kahāñ vo maiñ kidhar DhūñDh rahā huuñ
vo pesh-e-nazar haiñ to nazar kyuuñ nahīñ aate
kyā merā qusūr is meñ agar DhūñDh rahā huuñ
bārīk-nigārī kī tamannā to hai lekin
miltā nahīñ mazmūn-e-kamar DhūñDh rahā huuñ
phūkūñgā nasheman kī tarah apne use bhī
is vāste sayyād kā ghar DhūñDh rahā huuñ
kahte haiñ jise urf meñ sab sub.h-e-bahārāñ
us shām-e-judā.ī kī sahar DhūñDh rahā huuñ
jamtā hī nahīñ nok-e-mizha par koī aañsū
kāñTe pe tule jo vo guhar DhūñDh rahā huuñ
ye jaan ke us but kā hai patthar kā kaleja
ai 'barq' maiñ lohe kā jigar DhūñDh rahā huuñ
dil chhoD ke har rahguzar DhunDh raha hun
baiThe hain kahan wo main kidhar DhunDh raha hun
wo pesh-e-nazar hain to nazar kyun nahin aate
kya mera qusur is mein agar DhunDh raha hun
barik-nigari ki tamanna to hai lekin
milta nahin mazmun-e-kamar DhunDh raha hun
phukunga nasheman ki tarah apne use bhi
is waste sayyaad ka ghar DhunDh raha hun
kahte hain jise urf mein sab subh-e-bahaaran
us sham-e-judai ki sahar DhunDh raha hun
jamta hi nahin nok-e-mizha par koi aansu
kanTe pe tule jo wo guhar DhunDh raha hun
ye jaan ke us but ka hai patthar ka kaleja
ai 'barq' main lohe ka jigar DhunDh raha hun
- Book : Tanveer-e-sukhan (Pg. 115)
- Author : Rahmat ilahi barq Azmi
- Publication : Dr. Ahmed Ali Barqi Azmi, Zakir Nagar, New Delhi-25 (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.