dil churana ye kaam hai tera
dil churānā ye kaam hai terā
le gayā hai to naam hai terā
hai qayāmat bapā ki jalve meñ
qāmat-e-ḳhush-ḳhirām hai terā
jis ne aalam kiyā hai zer-o-zabar
ye ḳhat-e-mushk-fām hai terā
diid karne ko chāhiyeñ āñkheñ
har taraf jalva aam hai terā
kis kā ye ḳhuuñ kiye tū aatā hai
dāman afshāñ tamām hai terā
ho na ho tū hamārī majlis meñ
tazkira sub.h o shaam hai terā
teġh-e-abrū hameñ bhī de ik zaḳhm
sar pe aalam ke daam hai terā
tū jo kahtā hai 'mus.hafī' idhar aa
'mus.hafī' kyā ġhulām hai terā
dil churana ye kaam hai tera
le gaya hai to nam hai tera
hai qayamat bapa ki jalwe mein
qamat-e-KHush-KHiram hai tera
jis ne aalam kiya hai zer-o-zabar
ye KHat-e-mushk-fam hai tera
did karne ko chahiyen aankhen
har taraf jalwa aam hai tera
kis ka ye KHun kiye tu aata hai
daman afshan tamam hai tera
ho na ho tu hamari majlis mein
tazkira subh o sham hai tera
tegh-e-abru hamein bhi de ek zaKHm
sar pe aalam ke dam hai tera
tu jo kahta hai 'mushafi' idhar aa
'mushafi' kya ghulam hai tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.