dil dasht hai to ashk-fishani karenge hum
dil dasht hai to ashk-fishānī kareñge ham
ye kaam bas barā-e-ravānī kareñge ham
baiThe haiñ shāmiyāna-e-shab-rañg meñ udaas
rañg-e-ruḳh-e-shafaq abhī dhānī kareñge ham
pichhle baras ke ishq pe ham ko yaqīn thā
agle baras kā ishq gumānī kareñge ham
chāheñ to is ko teġh-e-ḳhamoshī se kaaT deñ
lekin junūñ se jañg zabānī kareñge ham
Thahre haiñ sail-e-harf-o-ma.ānī meñ dam-ba-ḳhud
zāhir kabhī to dard-e-nihānī kareñge ham
qāmat pe apnī naaz kare koh-e-shām-e-ġham
ghabrā ke aaj marsiya-ḳhvānī kareñge ham
dariyā kī samt bhāgte jā.eñge saarī umr
āḳhir meñ apnī pyaas ko paanī kareñge ham
dil dasht hai to ashk-fishani karenge hum
ye kaam bas bara-e-rawani karenge hum
baiThe hain shamiyana-e-shab-rang mein udas
rang-e-ruKH-e-shafaq abhi dhani karenge hum
pichhle baras ke ishq pe hum ko yaqin tha
agle baras ka ishq gumani karenge hum
chahen to is ko tegh-e-KHamoshi se kaT den
lekin junun se jang zabani karenge hum
Thahre hain sail-e-harf-o-maani mein dam-ba-KHud
zahir kabhi to dard-e-nihani karenge hum
qamat pe apni naz kare koh-e-sham-e-gham
ghabra ke aaj marsiya-KHwani karenge hum
dariya ki samt bhagte jaenge sari umr
aaKHir mein apni pyas ko pani karenge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.