dil dasht ki surat tha samundar hua kaise
dil dasht kī sūrat thā samundar huā kaise
sarsabz ḳhizāñ-zād muqaddar huā kaise
chhāñv meñ Dhalā kaise tamāzat bharā mausam
phūloñ se bhī nāzuk mirā paikar huā kaise
phirtī thī tamannāoñ bharī shaal lapeTe
phir jazba-e-gumnām ujāgar huā kaise
muddat se ye uljhī huī gutthī nahīñ suljhī
vo mujh meñ samāyā thā to be-ghar huā kaise
ik umr kisī pal jo mire haath nā aayā
vo ḳhvāb sā ehsās musaḳhḳhar huā kaise
ik raaz jo hamrāz rahā barsoñ 'samīna'
ab sochtī huuñ faash jahāñ par huā kaise
dil dasht ki surat tha samundar hua kaise
sarsabz KHizan-zad muqaddar hua kaise
chhanw mein Dhala kaise tamazat bhara mausam
phulon se bhi nazuk mera paikar hua kaise
phirti thi tamannaon bhari shaal lapeTe
phir jazba-e-gumnam ujagar hua kaise
muddat se ye uljhi hui gutthi nahin suljhi
wo mujh mein samaya tha to be-ghar hua kaise
ek umr kisi pal jo mere hath na aaya
wo KHwab sa ehsas musaKHKHar hua kaise
ek raaz jo hamraaz raha barson 'samina'
ab sochti hun fash jahan par hua kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.