dil dekh rahe hain wo jigar dekh rahe hain
dil dekh rahe haiñ vo jigar dekh rahe haiñ
chhoḌe hue tīroñ kā asar dekh rahe haiñ
har roz jafā.eñ haiñ na.ī aur nayā ġham
sau sau tarah 'āshiq kā jigar dekh rahe haiñ
har lamha zamāne kā hai hañgāma-ba-dāman
paidā hai qayāmat kā asar dekh rahe haiñ
ai gardish-e-daurāñ tire jāñ-soz nazāre
dekhe nahīñ jaate haiñ magar dekh rahe haiñ
ham mai-kade meñ jā ke hue tishna ziyāda
badlī huī saaqī kī nazar dekh rahe haiñ
āshob kā ai 'tāj' hai ye haal ki har roz
milte hue miTTī meñ guhar dekh rahe haiñ
dil dekh rahe hain wo jigar dekh rahe hain
chhoDe hue tiron ka asar dekh rahe hain
har roz jafaen hain nai aur naya gham
sau sau tarah 'ashiq ka jigar dekh rahe hain
har lamha zamane ka hai hangama-ba-daman
paida hai qayamat ka asar dekh rahe hain
ai gardish-e-dauran tere jaan-soz nazare
dekhe nahin jate hain magar dekh rahe hain
hum mai-kade mein ja ke hue tishna ziyaada
badli hui saqi ki nazar dekh rahe hain
aashob ka ai 'taj' hai ye haal ki har roz
milte hue miTTi mein guhar dekh rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.