dil dhaDakne ka sabab kya hoga
dil dhaḌakne kā sabab kyā hogā
phir tujhe ḳhvāb meñ dekhā hogā
phuul ke chehre ye shabnam kaisī
āsmāñ raat meñ royā hogā
jis ne ḳhvāboñ meñ samundar dekhe
us kī taqdīr meñ sahrā hogā
tujh se bichhḌā to gumāñ hotā hai
jaane kyā maiñ ne gañvāyā hogā
dil dhaDakne ka sabab kya hoga
phir tujhe KHwab mein dekha hoga
phul ke chehre ye shabnam kaisi
aasman raat mein roya hoga
jis ne KHwabon mein samundar dekhe
us ki taqdir mein sahra hoga
tujh se bichhDa to guman hota hai
jaane kya main ne ganwaya hoga
- Book : Khushboo Rang Sada ke Sang (Pg. 3)
- Author : Dr. Preem Bhandari
- Publication : Westzone Culture Center Udaipur (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.