dil dhaḌakne lagā fariyād kī naubat aa.ī
tum chale uTh ke mirī jaan qayāmat aa.ī
aap ke zulm ne dī merī vafā ko shohrat
ki mire ḳhuun se bhī bū-e-mohabbat aa.ī
sach hai marne pe nahīñ koī kisī kā dil-soz
sham.a bhī bujh ga.ī jis dam sar-e-turbat aa.ī
aah se merī zamīñ hil ga.ī taare TuuTe
maiñ ye samjhā ki zamāne meñ qayāmat aa.ī
muskurāte hue duniyā se ga.e ahl-e-vafā
jaan de dene se chehre pe bashāshat aa.ī
dil dhaDakne laga fariyaad ki naubat aai
tum chale uTh ke meri jaan qayamat aai
aap ke zulm ne di meri wafa ko shohrat
ki mere KHun se bhi bu-e-mohabbat aai
sach hai marne pe nahin koi kisi ka dil-soz
shama bhi bujh gai jis dam sar-e-turbat aai
aah se meri zamin hil gai tare TuTe
main ye samjha ki zamane mein qayamat aai
muskuraate hue duniya se gae ahl-e-wafa
jaan de dene se chehre pe bashashat aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.