dil dhaDakta hai ki tu yar hai saudai ka
dil dhaḌaktā hai ki tū yaar hai saudā.ī kā
tere majnūñ ko kahāñ paas hai rusvā.ī kā
barg-e-gul se bhī kam ab koh-e-ġham us ne jaanā
ye bharosā to na thā dil kī tavānā.ī kā
kījiye chaak garebāñ ko bahār aa.ī hai
zikr be-lutf hai yaañ sabr o shakebā.ī kā
sarv sābit-qadam is vāste gulshan meñ rahā
nahīñ dekhā kabhī jalva tirī rānā.ī kā
zor manzūr-e-nazar to tū 'fuġhāñ' rakhtā hai
maiñ to banda huuñ tirī chashm kī bīnā.ī kā
dil dhaDakta hai ki tu yar hai saudai ka
tere majnun ko kahan pas hai ruswai ka
barg-e-gul se bhi kam ab koh-e-gham us ne jaana
ye bharosa to na tha dil ki tawanai ka
kijiye chaak gareban ko bahaar aai hai
zikr be-lutf hai yan sabr o shakebai ka
sarw sabit-qadam is waste gulshan mein raha
nahin dekha kabhi jalwa teri ranai ka
zor manzur-e-nazar to tu 'fughan' rakhta hai
main to banda hun teri chashm ki binai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.