dil dhaDakta hai to aati hain sadaen teri
dil dhaḌaktā hai to aatī haiñ sadā.eñ terī
merī sāñsoñ meñ mahakne lagīñ sāñseñ terī
chāñd ḳhud mahv-e-tamāshā thā falak par us dam
jab sitāroñ ne utārīñ thiiñ balā.eñ terī
sher to roz hī kahte haiñ ġhazal ke lekin
aa kabhī baiTh ke tujh se kareñ bāteñ terī
zehn-o-dil tere tasavvur se ghire rahte haiñ
mujh ko bāhoñ meñ liye rahtī haiñ yādeñ terī
kyuuñ mirā naam mire sher likhe haiñ in meñ
chuġhliyāñ kartī haiñ mujh se ye kitābeñ terī
be-ḳhabar oT se tū jhāñk rahā ho ham ko
aur ham chupke se tasvīr banā leñ terī
dil dhaDakta hai to aati hain sadaen teri
meri sanson mein mahakne lagin sansen teri
chand KHud mahw-e-tamasha tha falak par us dam
jab sitaron ne utarin thin balaen teri
sher to roz hi kahte hain ghazal ke lekin
aa kabhi baiTh ke tujh se karen baaten teri
zehn-o-dil tere tasawwur se ghire rahte hain
mujh ko bahon mein liye rahti hain yaaden teri
kyun mera nam mere sher likhe hain in mein
chughliyan karti hain mujh se ye kitaben teri
be-KHabar oT se tu jhank raha ho hum ko
aur hum chupke se taswir bana len teri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.