Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil DhunDhti hai nigah kisi ki

Riyaz Khairabadi

dil DhunDhti hai nigah kisi ki

Riyaz Khairabadi

MORE BYRiyaz Khairabadi

    dil DhūñDhtī hai nigah kisī

    ā.īne hai na aarsī

    mālik mire maiñ ne mai-kashī

    lekin ye ḳhatā kabhī kabhī

    kyā shakl hai vasl meñ kisī

    tasvīr haiñ apnī bebasī

    khul jaa.e sabā pāk-bāzī

    phūTe jo baaġh meñ kalī

    kam-baḳht kabhī na ḳhush huā

    ai ġham tirī har tarah ḳhushī

    muñh ham ne hañsī hañsī meñ chūmā

    jo ho ga.ī baat thī hañsī

    taanā tanā hai mai-kade meñ

    pagḌī uchhlī hai shaiḳh-jī

    ham ko jo diyā to aur dil

    dil le ke ye achchhī dil-lagī

    yuuñ bhī to chalā na kaam apnā

    dushman se bhī ham ne dostī

    paa.e ga.e jis meñ dil ke ajzā

    hogī vo ḳhaak usī galī

    aisī hai ki sakegā vaa.iz

    hai taaza kashīd aaj

    mai ḳhuld meñ hogī sūrat-e-hūr

    maiḳhāne meñ shakl hai parī

    ghar hai na kahīñ nishāñ lahad

    miTTī hai ḳharāb be-kasī

    sach ye hai ki zindagī ho maut

    har chiiz burī hai muflisī

    achchhī hai gazak se, talḳh mai se

    miltī rahe roz rūkhī-phīkī

    kuchh kuchh hai 'riyāz' 'mīr' rañg

    kuchh shaan hai ham meñ 'mus.hafī'

    dil DhunDhti hai nigah kisi ki

    aaine ki hai na aarsi ki

    malik mere main ne mai-kashi ki

    lekin ye KHata kabhi kabhi ki

    kya shakl hai wasl mein kisi ki

    taswir hain apni bebasi ki

    khul jae saba ki pak-bazi

    bu phuTe jo bagh mein kali ki

    kam-baKHt kabhi na KHush hua tu

    ai gham teri har tarah KHushi ki

    munh hum ne hansi hansi mein chuma

    jo ho gai baat thi hansi ki

    tana sa tana hai mai-kade mein

    pagDi uchhli hai shaiKH-ji ki

    hum ko jo diya to aur ka dil

    dil le ke ye achchhi dil-lagi ki

    yun bhi to chala na kaam apna

    dushman se bhi hum ne dosti ki

    pae gae jis mein dil ke ajza

    hogi wo KHak usi gali ki

    aisi hai ki pi sakega waiz

    hai taza kashid aaj hi ki

    mai KHuld mein hogi surat-e-hur

    maiKHane mein shakl hai pari ki

    ghar hai na kahin nishan lahad ka

    miTTi hai KHarab be-kasi ki

    sach ye hai ki zindagi ho ya maut

    har chiz buri hai muflisi ki

    achchhi hai gazak se, talKH mai se

    milti rahe roz rukhi-phiki

    kuchh kuchh hai 'riyaz' 'mir' ka rang

    kuchh shan hai hum mein 'mushafi' ki

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now