dil diya ji diya KHafa na kiya
dil diyā jī diyā ḳhafā na kiyā
bevafā tujh se maiñ ne kyā na kiyā
ġham-e-dūrī ko terī dekh ke yaar
aaj tak jaan se judā na kiyā
fā.eda kyā hai ab bigaḌne kā
kaun thā jis se tū milā na kiyā
ye hamīñ the ki in jafāoñ par
phir kabhī tujh satī gilā na kiyā
kaun sī shab thī hijr kī 'āsif'
ki ye dil sham' saañ jalā na kiyā
dil diya ji diya KHafa na kiya
bewafa tujh se main ne kya na kiya
gham-e-duri ko teri dekh ke yar
aaj tak jaan se juda na kiya
faeda kya hai ab bigaDne ka
kaun tha jis se tu mila na kiya
ye hamin the ki in jafaon par
phir kabhi tujh sati gila na kiya
kaun si shab thi hijr ki 'asif'
ki ye dil sham' san jala na kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.