dil diya wahshat liya aur KHud ko ruswa kar liya
dil diyā vahshat liyā aur ḳhud ko rusvā kar liyā
muḳhtasar sī zindagī meñ maiñ ne kyā kyā kar liyā
dil kī ḳhātir kufr bhī us ne gavārā kar liyā
ek patthar ḳhud tarāshā ḳhud hī sajda kar liyā
aap kī chāhat kā milnā jaan lūñgā muft hai
jaan de kar bhī agar maiñ ne ye saudā kar liyā
bāl-o-par apne salāmat Dar añdheroñ kā nahīñ
chaar tinke jab bhī phūñke haiñ ujālā kar liyā
dard baḳhshā chain chhīnā dil ke TukḌe kar diye
haa.e kis zālim pe maiñ ne bhī bharosa kar liyā
'shauq' jab tak saañs hai tab tak hai ummīd-e-hayāt
kyuuñ abhī se aap ne dil apnā chhoTā kar liyā
dil diya wahshat liya aur KHud ko ruswa kar liya
muKHtasar si zindagi mein main ne kya kya kar liya
dil ki KHatir kufr bhi us ne gawara kar liya
ek patthar KHud tarasha KHud hi sajda kar liya
aap ki chahat ka milna jaan lunga muft hai
jaan de kar bhi agar main ne ye sauda kar liya
baal-o-par apne salamat Dar andheron ka nahin
chaar tinke jab bhi phunke hain ujala kar liya
dard baKHsha chain chhina dil ke TukDe kar diye
hae kis zalim pe main ne bhi bharosa kar liya
'shauq' jab tak sans hai tab tak hai ummid-e-hayat
kyun abhi se aap ne dil apna chhoTa kar liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.