dil dukhao na barha jaanan
dil dukhāo na bārhā jānāñ
muñh chhupāo na bārhā jānāñ
maiñ tumhārā huuñ bas tumhārā huuñ
āzmāo na bārhā jānāñ
ḳhud hī rūThā huuñ ḳhud hī mānūñgā
tum manāo na bārhā jānāñ
jaañ sañbhalne to do kisī lamhe
yaad aao na bārhā jānāñ
merī ġhazloñ se sab shanāsā haiñ
gungunāo na bārhā jānāñ
kuchh sabaq bhī to lo havādis se
choT khaao na bārhā jānāñ
ek hālat meñ mujh ko rahne do
aao jaao na bārhā jānāñ
ik tabassum hī jān-levā hai
muskurāo na bārhā jānāñ
jis kahānī meñ mar gayā 'sā.in'
vo sunāo na bārhā jānāñ
dil dukhao na barha jaanan
munh chhupao na barha jaanan
main tumhaara hun bas tumhaara hun
aazmao na barha jaanan
KHud hi ruTha hun KHud hi manunga
tum manao na barha jaanan
jaan sanbhalne to do kisi lamhe
yaad aao na barha jaanan
meri ghazlon se sab shanasa hain
gungunao na barha jaanan
kuchh sabaq bhi to lo hawadis se
choT khao na barha jaanan
ek haalat mein mujh ko rahne do
aao jao na barha jaanan
ek tabassum hi jaan-lewa hai
muskurao na barha jaanan
jis kahani mein mar gaya 'sain'
wo sunao na barha jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.