dil dukhi hai raat kaTun kis tarah
dil dukhī hai raat kāTūñ kis tarah
dard kī bohtāt kāTūñ kis tarah
aaḌe aa.e jā rahā hai dil mirā
nā-samajh jazbāt kāTūñ kis tarah
jhuuT kī tash.hīr hai ab kū-ba-kū
jhuuT ke maiñ haath kāTūñ kis tarah
fatvā lag jaanā hai mujh par kufr kā
aap kī maiñ baat kāTūñ kis tarah
ek ġham terā hai duujā saañs kā
anginat sadmāt kāTūñ kis tarah
saare 'ālim saare muftī haiñ yahāñ
pur-fitan hālāt kāTūñ kis tarah
jahl qābiz mimbar-o-mehrāb par
chup rahūñ lamhāt kāTūñ kis tarah
maiñ diye 'mājid' jalā.ūñgā yūñhī
āgahī kī maat kāTūñ kis tarah
dil dukhi hai raat kaTun kis tarah
dard ki bohtat kaTun kis tarah
aaDe aae ja raha hai dil mera
na-samajh jazbaat kaTun kis tarah
jhuT ki tashhir hai ab ku-ba-ku
jhuT ke main hath kaTun kis tarah
fatwa lag jaana hai mujh par kufr ka
aap ki main baat kaTun kis tarah
ek gham tera hai duja sans ka
anginat sadmat kaTun kis tarah
sare 'alim sare mufti hain yahan
pur-fitan haalat kaTun kis tarah
jahl qabiz mimbar-o-mehrab par
chup rahun lamhat kaTun kis tarah
main diye 'majid' jalaunga yunhi
aagahi ki mat kaTun kis tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.