dil-e-ashufta pe ilzam kai yaad aae
dil-e-āshufta pe ilzām ka.ī yaad aa.e
jab tirā zikr chhiḌā naam ka.ī yaad aa.e
tujh se chhuT kar bhī guzarnī thī so guzrī lekin
lamha lamha sahar o shaam ka.ī yaad aa.e
haa.e nau-umr adīboñ kā ye andāz-e-bayāñ
apne maktūb tire naam ka.ī yaad aa.e
aaj tak mil na sakā apnī tabāhī kā surāġh
yuuñ tire naama o paiġhām ka.ī yaad aa.e
kuchh na thā yaad ba-juz-kār-e-mohabbat ik umr
vo jo bigḌā hai to ab kaam ka.ī yaad aa.e
ḳhud jo lab-tishna the jab tak to koī yaad na thā
pyaas bujhte hī tahī-jām ka.ī yaad aa.e
dil-e-ashufta pe ilzam kai yaad aae
jab tera zikr chhiDa nam kai yaad aae
tujh se chhuT kar bhi guzarni thi so guzri lekin
lamha lamha sahar o sham kai yaad aae
hae nau-umr adibon ka ye andaz-e-bayan
apne maktub tere nam kai yaad aae
aaj tak mil na saka apni tabahi ka suragh
yun tere nama o paigham kai yaad aae
kuchh na tha yaad ba-juz-kar-e-mohabbat ek umr
wo jo bigDa hai to ab kaam kai yaad aae
KHud jo lab-tishna the jab tak to koi yaad na tha
pyas bujhte hi tahi-jam kai yaad aae
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 13.04.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.