dil-e-barbaad ko aabaad kiya hai maine
dil-e-barbād ko ābād kiyā hai maiñ ne
aaj muddat meñ tumheñ yaad kiyā hai maiñ ne
zauq-e-parvāz-e-tab-o-tāb atā farmā kar
said ko lā.iq-e-sayyād kiyā hai maiñ ne
talḳhī-e-daur-e-guzishtā kā tasavvur kar ke
dil ko phir mā.il-e-fariyād kiyā hai maiñ ne
aaj is soz-e-tasavvur kī ḳhushī meñ ai dost
tā.ir-e-sabr ko āzād kiyā hai maiñ ne
ho ke isrār-e-ġham-e-tāzā se majbūr-e-fuġhāñ
chashm ko ashk-e-tar imdād kiyā hai maiñ ne
tum jise kahte the hañgāma-pasandī merī
phir vahī tarz-e-ġham ījād kiyā hai maiñ ne
phir gavārā hai mujhe ishq kī har ik mushkil
taaza phir sheva-e-farhād kiyā hai maiñ ne
dil-e-barbaad ko aabaad kiya hai main ne
aaj muddat mein tumhein yaad kiya hai main ne
zauq-e-parwaz-e-tab-o-tab ata farma kar
said ko laiq-e-sayyaad kiya hai main ne
talKHi-e-daur-e-guzishta ka tasawwur kar ke
dil ko phir mail-e-fariyaad kiya hai main ne
aaj is soz-e-tasawwur ki KHushi mein ai dost
tair-e-sabr ko aazad kiya hai main ne
ho ke israr-e-gham-e-taza se majbur-e-fughan
chashm ko ashk-e-tar imdad kiya hai main ne
tum jise kahte the hangama-pasandi meri
phir wahi tarz-e-gham ijad kiya hai main ne
phir gawara hai mujhe ishq ki har ek mushkil
taza phir shewa-e-farhad kiya hai main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.