dil-e-bashar hai ajab do-ruKHi se wabasta
dil-e-bashar hai 'ajab do-ruḳhī se vābasta
kisī ke saa.e se nafrat kisī se vābasta
maiñ saaya huuñ mujhe tārīkiyoñ se kyā lenā
mirī hayāt to hai raushnī se vābasta
mirā vajūd hai jaise kaTī patang koī
na mujh se koī na maiñ huuñ kisī se vābasta
charāġh-e-zaḳhm pe yaaro nazar jamā.e raho
har ik sahar hai isī raushnī se vābasta
maiñ ab tulū’-e-sahar se bhī kaañp uThtā huuñ
ye raushnī bhī na ho tīrgī se vābasta
jarāhateñ hoñ mire jism kī ki ruuh kā karb
har ik ‘azāb hai ehsās hī se vābasta
maiñ apnī soch ke dhāre pe bahtā rahtā huuñ
ye naav rahtī hai har dam nadī se vābasta
dil-e-bashar hai 'ajab do-ruKHi se wabasta
kisi ke sae se nafrat kisi se wabasta
main saya hun mujhe tarikiyon se kya lena
meri hayat to hai raushni se wabasta
mera wajud hai jaise kaTi patang koi
na mujh se koi na main hun kisi se wabasta
charagh-e-zaKHm pe yaro nazar jamae raho
har ek sahar hai isi raushni se wabasta
main ab tulu’-e-sahar se bhi kanp uThta hun
ye raushni bhi na ho tirgi se wabasta
jarahaten hon mere jism ki ki ruh ka karb
har ek ‘azab hai ehsas hi se wabasta
main apni soch ke dhaare pe bahta rahta hun
ye naw rahti hai har dam nadi se wabasta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.