dil-e-betab ka aana sitam hai
dil-e-betāb kā aanā sitam hai
taḌap kar phir machal jaanā sitam hai
mujhe samjhā rahī hai ġhairat-e-dil
vafā se terā phir jaanā sitam hai
vo rah kar chuTkiyāñ lete haiñ kyā kyā
sitam hai dil meñ bhī aanā sitam hai
mirī nākāmiyāñ ye kah rahī haiñ
nuqūsh-e-ġham kā miT jaanā sitam hai
miTī jaatī haiñ merī ārzūeñ
kisī ko raah par laanā sitam hai
kitāb-e-ishq ko kartā huuñ maiñ jam.a
varaq kā ab bikhar jaanā sitam hai
kahīñ rāz-e-mohabbat khul na jaa.e
zabāñ par naam kā laanā sitam hai
dam-e-āḳhir huā mujh ko ye ma.alūm
fareb-e-zindagī khānā sitam hai
mirī ġhairat ko kab hai ye gavārā
tasavvur meñ tirā aanā sitam hai
samajhtā huuñ ma.āl-e-ārzū ko
magar ab tujh ko samjhānā sitam hai
garebāñ hai garebāñ dast-e-vahshat
tirā had se guzar jaanā sitam hai
phañsā kyoñ maiñ fareb-e-ārzū meñ
adā ke pher meñ aanā sitam hai
tumhīñ ne da.avat-e-nazzāra dī thī
yakāyak haa.e chhup jaanā sitam hai
kabhī raqsāñ thiiñ jin āñkhoñ meñ ulfat
un āñkhoñ kā badal jaanā sitam hai
jafā jab hāsil-e-ulfat hai ai dil
'vafā' ke pher meñ aanā sitam hai
dil-e-betab ka aana sitam hai
taDap kar phir machal jaana sitam hai
mujhe samjha rahi hai ghairat-e-dil
wafa se tera phir jaana sitam hai
wo rah kar chuTkiyan lete hain kya kya
sitam hai dil mein bhi aana sitam hai
meri nakaamiyan ye kah rahi hain
nuqush-e-gham ka miT jaana sitam hai
miTi jati hain meri aarzuen
kisi ko rah par lana sitam hai
kitab-e-ishq ko karta hun main jama
waraq ka ab bikhar jaana sitam hai
kahin raaz-e-mohabbat khul na jae
zaban par nam ka lana sitam hai
dam-e-aKHir hua mujh ko ye malum
fareb-e-zindagi khana sitam hai
meri ghairat ko kab hai ye gawara
tasawwur mein tera aana sitam hai
samajhta hun maal-e-arzu ko
magar ab tujh ko samjhana sitam hai
gareban hai gareban dast-e-wahshat
tera had se guzar jaana sitam hai
phansa kyon main fareb-e-arzu mein
ada ke pher mein aana sitam hai
tumhin ne dawat-e-nazzara di thi
yakayak hae chhup jaana sitam hai
kabhi raqsan thin jin aankhon mein ulfat
un aankhon ka badal jaana sitam hai
jafa jab hasil-e-ulfat hai ai dil
'wafa' ke pher mein aana sitam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.