dil-e-betab par Dala hai teri yaad ne aanchal
dil-e-betāb par Daalā hai terī yaad ne āñchal
tirī baḳhshī huī ab raat tūlānī nahīñ hogī
mohabbat meñ ham apne dil ko vīrāñ kar ke baiThe haiñ
ab apnī zindagī meñ aur vīrānī nahīñ hogī
ye zulfeñ ḳham-ba-ḳham ye jism-e-bāda-ras ye pairāhan
mire nāseh yahāñ dil kī nigahbānī nahīñ hogī
tumhāre sāmne ham dard-e-dil bhī le ke aa.e the
adāoñ ne magar vo shakl pahchānī nahīñ hogī
ye mumkin hai tumheñ dil ko bhulā denā hī āsāñ ho
magar maiñ sochtā huuñ itnī āsānī nahīñ hogī
dil-e-betab par Dala hai teri yaad ne aanchal
teri baKHshi hui ab raat tulani nahin hogi
mohabbat mein hum apne dil ko viran kar ke baiThe hain
ab apni zindagi mein aur virani nahin hogi
ye zulfen KHam-ba-KHam ye jism-e-baada-ras ye pairahan
mere naseh yahan dil ki nigahbani nahin hogi
tumhaare samne hum dard-e-dil bhi le ke aae the
adaon ne magar wo shakl pahchani nahin hogi
ye mumkin hai tumhein dil ko bhula dena hi aasan ho
magar main sochta hun itni aasani nahin hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.