dil-e-diwana ki bhule hi se ghar rahta hai
dil-e-diwana ki bhule hi se ghar rahta hai
Syed Nawab Haider Naqvi Rahi
MORE BYSyed Nawab Haider Naqvi Rahi
dil-e-dīvāna ki bhūle hī se ghar rahtā hai
zikr kyuuñ us kā magar shām-o-sahar rahtā hai
sīñchte rahiye use ḳhūn-e-jigar se aksar
be-samar varna tamannā kā shajar rahtā hai
bistar-e-shab pe taḌapte hī guzar jaa.e magar
dast-e-ummīd meñ dāmān-e-sahar rahtā hai
zaḳhm lagte hī rahe rūh-o-badan par itne
nahīñ ma.alūm ki ab dard kidhar rahtā hai
dasht-e-ulfat meñ kaḌī dhuup ke sannāTe haiñ
abr-e-ḳhush-rañg na saa.e kā guzar rahtā hai
yuuñ hī par tolte rahnā hai asīroñ ko yahāñ
qafas-e-shauq kā dar band agar rahtā hai
dam-ba-dam aatī hai āvāz-e-jaras kī 'rāhī'
koī to mujh meñ hai jo mahv-e-safar rahtā hai
dil-e-diwana ki bhule hi se ghar rahta hai
zikr kyun us ka magar sham-o-sahar rahta hai
sinchte rahiye use KHun-e-jigar se aksar
be-samar warna tamanna ka shajar rahta hai
bistar-e-shab pe taDapte hi guzar jae magar
dast-e-ummid mein daman-e-sahar rahta hai
zaKHm lagte hi rahe ruh-o-badan par itne
nahin malum ki ab dard kidhar rahta hai
dasht-e-ulfat mein kaDi dhup ke sannaTe hain
abr-e-KHush-rang na sae ka guzar rahta hai
yun hi par tolte rahna hai asiron ko yahan
qafas-e-shauq ka dar band agar rahta hai
dam-ba-dam aati hai aawaz-e-jaras ki 'rahi'
koi to mujh mein hai jo mahw-e-safar rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.