dil-e-fariyaadi ne rah rah ke pukara mujhko
dil-e-fariyādī ne rah rah ke pukārā mujh ko
ye samajhtā hai 'ahad' vaj.h-e-ḳhasāra mujh ko
bach gayā mauj-e-kashākash se maiñ lekin phir bhī
na milā bahr-e-aziyyat kā kināra mujh ko
vo bhī ik shaḳhs mujhe chhoḌ ke chup-chāp gayā
jo ye kahtā thā ki hai terā sahārā mujh ko
bas isī baat ne āsān kiyā hai jiinā
us se milnā hai kisī roz dubāra mujh ko
log to milte hī rahte haiñ rah-e-zīst meñ par
kahāñ mumkin hai sukūñ un se tumhārā mujh ko
dil-e-fariyaadi ne rah rah ke pukara mujh ko
ye samajhta hai 'ahad' wajh-e-KHasara mujh ko
bach gaya mauj-e-kashakash se main lekin phir bhi
na mila bahr-e-aziyyat ka kinara mujh ko
wo bhi ek shaKHs mujhe chhoD ke chup-chap gaya
jo ye kahta tha ki hai tera sahaara mujh ko
bas isi baat ne aasan kiya hai jina
us se milna hai kisi roz dubara mujh ko
log to milte hi rahte hain rah-e-zist mein par
kahan mumkin hai sukun un se tumhaara mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.