dil-e-fasurda ko pyari nazar se pyar na kar
dil-e-fasurda ko pyārī nazar se pyaar na kar
ḳhizāñ ke sāmne sharminda-e-bahār na kar
kamāl-e-hosh yahāñ ġham ko ġham samajhnā hai
kisī ko ġham kī haqīqat kā rāzdār na kar
hazār baar tavajjoh kā shukriya lekin
jo vaz' nibh na sake dost iḳhtiyār na kar
vo jalva-gar haiñ tire sāmne nigāh uThā
jahāñ nazar kī zarūrat hai intizār na kar
'zahīn' tark-e-mohabbat kare ḳhudā na kare
ye jibra.īl kaheñ to bhī e'tibār na kar
dil-e-fasurda ko pyari nazar se pyar na kar
KHizan ke samne sharminda-e-bahaar na kar
kamal-e-hosh yahan gham ko gham samajhna hai
kisi ko gham ki haqiqat ka raazdar na kar
hazar bar tawajjoh ka shukriya lekin
jo waz' nibh na sake dost iKHtiyar na kar
wo jalwa-gar hain tere samne nigah uTha
jahan nazar ki zarurat hai intizar na kar
'zahin' tark-e-mohabbat kare KHuda na kare
ye jibrail kahen to bhi e'tibar na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.