dil-e-fasurda pe sau bar tazgi aai
dil-e-fasurda pe sau baar tāzgī aa.ī
magar vo yaad ki jā kar na phir kabhī aa.ī
chaman meñ kaun hai pursān-e-hāl shabnam kā
ġharīb ro.e to ġhunchoñ ko bhī hañsī aa.ī
naved-e-aish se bhī lutf-e-aish mil na sakā
libās-e-ġham hī meñ aa.ī agar ḳhushī aa.ī
kisī tarah bhī zamāne ko bas meñ kar na sake
na dostī na hameñ raas dushmanī aa.ī
ajab na thā ki ġham-e-dil shikast khā jaatā
hazār shukr tire lutf meñ kamī aa.ī
zamāna hañstā hai mujh par hazār baar hañse
tumhārī aañkh meñ lekin ye kyuuñ namī aa.ī
diye jalā.e umīdoñ ne dil ke gird bahut
kisī taraf se na us ghar meñ raushnī aa.ī
hazār diid pe pābandiyāñ thiiñ parde the
nigāh-e-shauq magar un ko dekh hī aa.ī
dil-e-fasurda pe sau bar tazgi aai
magar wo yaad ki ja kar na phir kabhi aai
chaman mein kaun hai pursan-e-haal shabnam ka
gharib roe to ghunchon ko bhi hansi aai
nawed-e-aish se bhi lutf-e-aish mil na saka
libas-e-gham hi mein aai agar KHushi aai
kisi tarah bhi zamane ko bas mein kar na sake
na dosti na hamein ras dushmani aai
ajab na tha ki gham-e-dil shikast kha jata
hazar shukr tere lutf mein kami aai
zamana hansta hai mujh par hazar bar hanse
tumhaari aankh mein lekin ye kyun nami aai
diye jalae umidon ne dil ke gird bahut
kisi taraf se na us ghar mein raushni aai
hazar did pe pabandiyan thin parde the
nigah-e-shauq magar un ko dekh hi aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.