dil gham ka talabgar hai malum nahin kyun
dil ġham kā talabgār hai ma.alūm nahīñ kyuuñ
rāhat se ye bezār hai ma.alūm nahīñ kyuuñ
haq ye hai ki ham donoñ mohabbat meñ bañdhe haiñ
lekin use inkār hai ma.alūm nahīñ kyuuñ
jo mo'atabar thā ahl-e-zamāna kī nazar meñ
rusvā sar-e-bāzār hai mālūm nahīñ kyuuñ
maiñ bhūlnā chāhūñ bhī bhulā pā.ūñ na un ko
kuchh aisā sarokār hai mālūm nahīñ kyuuñ
jo bhī ho ġhalat baat jhaTak detā hai aksar
is darja vo ḳhuddār hai mālūm nahīñ kyuuñ
insān kisī baat pe rahtā nahīñ qaa.em
ye zehn se bīmār hai mālūm nahīñ kyuuñ
ḳhāmosh sī rahtī hai zabāñ us kī barābar
dil mā.il-e-guftār hai mālūm nahīñ kyuuñ
qurbat bhī kisī kī nahīñ hai raas 'karan' ko
ye ḳhud se hī bezār hai mālūm nahīñ kyuuñ
dil gham ka talabgar hai malum nahin kyun
rahat se ye bezar hai malum nahin kyun
haq ye hai ki hum donon mohabbat mein bandhe hain
lekin use inkar hai malum nahin kyun
jo mo'atabar tha ahl-e-zamana ki nazar mein
ruswa sar-e-bazar hai malum nahin kyun
main bhulna chahun bhi bhula paun na un ko
kuchh aisa sarokar hai malum nahin kyun
jo bhi ho ghalat baat jhaTak deta hai aksar
is darja wo KHuddar hai malum nahin kyun
insan kisi baat pe rahta nahin qaem
ye zehn se bimar hai malum nahin kyun
KHamosh si rahti hai zaban us ki barabar
dil mail-e-guftar hai malum nahin kyun
qurbat bhi kisi ki nahin hai ras 'karan' ko
ye KHud se hi bezar hai malum nahin kyun
- Book : Shehr-e-Sukhan (Pg. 58)
- Author : Karan Singh Karan
- Publication : Manvi Parkashan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.