dil-e-gharib kahan paega nishan apna
dil-e-gharib kahan paega nishan apna
Abdur Rauf Shahid Ansari
MORE BYAbdur Rauf Shahid Ansari
dil-e-ġharīb kahāñ pā.egā nishāñ apnā
luTā ke shahr-e-nigārāñ meñ kārvāñ apnā
harīm-e-nāz se karb-o-alam ke zindāñ tak
kahāñ kahāñ na huā ḳhuun rā.egāñ apnā
ḳhudā kā shukr bajā laao soḳhta jaano
zamīn dost se kam-tar hai āsmāñ apnā
dil-o-nigāh ke sajdoñ kī baat kar vaa.iz
jabīn-e-shauq ko hāsil hai āstāñ apnā
kuchh aur zabt se le kaam ai dil-e-nādāñ
milā huā hai raqīboñ se rāz-dāñ apnā
gilā bhī un ke sitam ka na kar sake 'shāhid'
hazār baar liyā ham ne imtihāñ apnā
dil-e-gharib kahan paega nishan apna
luTa ke shahr-e-nigaran mein karwan apna
harim-e-naz se karb-o-alam ke zindan tak
kahan kahan na hua KHun raegan apna
KHuda ka shukr baja lao soKHta jaano
zamin dost se kam-tar hai aasman apna
dil-o-nigah ke sajdon ki baat kar waiz
jabin-e-shauq ko hasil hai aastan apna
kuchh aur zabt se le kaam ai dil-e-nadan
mila hua hai raqibon se raaz-dan apna
gila bhi un ke sitam ka na kar sake 'shahid'
hazar bar liya hum ne imtihan apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.