dil-e-hazin ko na malum kyun qarar nahin
dil-e-hazīñ ko na mālūm kyuuñ qarār nahīñ
nigāh-e-shauq to pāband-e-e'tibār nahīñ
ye chand-roza bahāreñ sadā-bahār nahīñ
ki Dhaltī chhāñv kā ai dost e'tibār nahīñ
badalte rahte haiñ ye rang āsmāñ kī tarah
nazar-farosh sahāroñ kā e'tibār nahīñ
tirī nigāh ke sadqe maiñ ab vahāñ huuñ jahāñ
koī rafīq nahīñ koī ġham-gusār nahīñ
chaman meñ rāz-e-chaman ban gayā hai jo hamdam
vahī to bulbul-e-marhūm kā mazār nahīñ
na chhīn shām-e-junūñ mujh se āsmāñ ki mujhe
havā-e-sub.h-e-chaman ab ke sāzgār nahīñ
isī se pūchho mirī ham-safar hai ye bijlī
mire junūñ ko zamāne kā intizār nahīñ
vo ġham-nasīb kahāñ jaa.e kis ko apnā.e
tirī nigāh-e-karam jis kī ġham-gusār nahīñ
dil-e-hazin ko na malum kyun qarar nahin
nigah-e-shauq to paband-e-e'tibar nahin
ye chand-roza bahaaren sada-bahaar nahin
ki Dhalti chhanw ka ai dost e'tibar nahin
badalte rahte hain ye rang aasman ki tarah
nazar-farosh sahaaron ka e'tibar nahin
teri nigah ke sadqe main ab wahan hun jahan
koi rafiq nahin koi gham-gusar nahin
chaman mein raaz-e-chaman ban gaya hai jo hamdam
wahi to bulbul-e-marhum ka mazar nahin
na chhin sham-e-junun mujh se aasman ki mujhe
hawa-e-subh-e-chaman ab ke sazgar nahin
isi se puchho meri ham-safar hai ye bijli
mere junun ko zamane ka intizar nahin
wo gham-nasib kahan jae kis ko apnae
teri nigah-e-karam jis ki gham-gusar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.