dil-e-KHana-KHarab aaega
dil-e-ḳhāna-ḳharāb aa.egā
aur ham par azaab lā.egā
mus.haf-e-ruḳh se us ko kyā matlab
shaiḳh to bas kitāb lā.egā
eid ke din to tū gale mil le
muft ajr-o-savāb pā.egā
chhoḌ kausar kī un ke lab se pī
be-hisāb-o-kitāb pā.egā
zikr jannat kā muñh se vaa.iz ke
huur se ijtināb lā.egā
hūr-o-jamhūr ai ma.āz-allāh
kyā na tum ko hijāb aa.egā
us parī ko na chheḌ ai 'naqvī'
aur dil par azaab aa.egā
dil-e-KHana-KHarab aaega
aur hum par azab laega
mushaf-e-ruKH se us ko kya matlab
shaiKH to bas kitab laega
eid ke din to tu gale mil le
muft ajr-o-sawab paega
chhoD kausar ki un ke lab se pi
be-hisab-o-kitab paega
zikr jannat ka munh se waiz ke
hur se ijtinab laega
hur-o-jamhur ai maaz-allah
kya na tum ko hijab aaega
us pari ko na chheD ai 'naqwi'
aur dil par azab aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.