dil-e-KHarab ke ahkaam Thik lagne lage
dil-e-ḳharāb ke ahkām Thiik lagne lage
liye jo faisle nākām Thiik lagne lage
mirā shumār unhī sar-phiroñ meñ hotā hai
jinheñ udāsī sar-e-shām Thiik lagne lage
samā'atoñ ko ḳhamoshī kī vo aziyyat do
ki ird-gird kā kohrām Thiik lagne lage
hamārī ḳhaak pe kūza-garoñ ne mehnat kī
to tab ye farq paḌā daam Thiik lagne lage
chalūñ to dil kahe ruk jaa.e ghūmtī duniyā
rukūñ to gardish-e-ayyām Thiik lagne lage
hamārī TūTne ke baa'd aisī hālat hai
ki ghar ke ḳhasta dar-o-bām Thiik lagne lage
kabhī lage nahīñ mujh se burā sulūk huā
kabhī kahānī kā anjām Thiik lagne lage
ġhalat ko itne tasalsul se Thiik kahte raho
ki jo ġhalat ho vahī kaam Thiik lagne lage
dil-e-KHarab ke ahkaam Thik lagne lage
liye jo faisle nakaam Thik lagne lage
mera shumar unhi sar-phiron mein hota hai
jinhen udasi sar-e-sham Thik lagne lage
sama'aton ko KHamoshi ki wo aziyyat do
ki ird-gird ka kohram Thik lagne lage
hamari KHak pe kuza-garon ne mehnat ki
to tab ye farq paDa dam Thik lagne lage
chalun to dil kahe ruk jae ghumti duniya
rukun to gardish-e-ayyam Thik lagne lage
hamari TuTne ke ba'd aisi haalat hai
ki ghar ke KHasta dar-o-baam Thik lagne lage
kabhi lage nahin mujh se bura suluk hua
kabhi kahani ka anjam Thik lagne lage
ghalat ko itne tasalsul se Thik kahte raho
ki jo ghalat ho wahi kaam Thik lagne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.