dil-e-KHud-ashna sohan-e-zindagi hoga
dil-e-ḳhud-āshnā sohān-e-zindagī hogā
ye sañg-e-mīl hai kal sañg-e-rāh bhī hogā
har ek moḌ pe pīchhe palaT ke dekhtā huuñ
vo gard-e-rah sahī hamrāh to koī hogā
hameñ hamārī vafā dasht dasht DhūñDegī
tumhāre husn kā charchā galī galī hogā
vo maiñ nahīñ mirī āshuftagī-e-dil hogī
vo tū nahīñ tirā andāz-e-dilbarī hogā
bahār-e-jalva-e-gul to nazar meñ thī kal bhī
tahī thā dast-e-talab aaj bhī tahī hogā
sunā hai vaqt kabhī ek sā nahīñ rahtā
qayām fasl-e-ḳhizāñ kā bhī aarzī hogā
tumhārī shab hai ziyā-bār māh-o-anjum se
hamārī sub.h kā manzar bhī dīdanī hogā
ye rañg-e-bazm ghaḌī do ghaḌī hai phir 'ḳhāvar'
kahīñ pe hogā koī aur kahīñ koī hogā
dil-e-KHud-ashna sohan-e-zindagi hoga
ye sang-e-mil hai kal sang-e-rah bhi hoga
har ek moD pe pichhe palaT ke dekhta hun
wo gard-e-rah sahi hamrah to koi hoga
hamein hamari wafa dasht dasht DhunDegi
tumhaare husn ka charcha gali gali hoga
wo main nahin meri aashuftagi-e-dil hogi
wo tu nahin tera andaz-e-dilbari hoga
bahaar-e-jalwa-e-gul to nazar mein thi kal bhi
tahi tha dast-e-talab aaj bhi tahi hoga
suna hai waqt kabhi ek sa nahin rahta
qayam fasl-e-KHizan ka bhi aarzi hoga
tumhaari shab hai ziya-bar mah-o-anjum se
hamari subh ka manzar bhi didani hoga
ye rang-e-bazm ghaDi do ghaDi hai phir 'KHawar'
kahin pe hoga koi aur kahin koi hoga
- Book : Auraq-shumara Number-003 Magazine-3 (Pg. 226)
- Author : Khaavar rizvii
- Publication : Monthly Auraq, Urdu Bazar, Lahore (1968)
- Edition : 1968
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.