dil-e-mard-e-musalman mein kisi but ka qadam aaya
dil-e-mard-e-musalman mein kisi but ka qadam aaya
Riyazat Ali Shaiq
MORE BYRiyazat Ali Shaiq
dil-e-mard-e-musalmāñ meñ kisī but kā qadam aayā
mirī duniyā meñ tum aa.e ki patthar kā sanam aayā
pa.e-nazr-e-aqīdat le ke jān-o-dil kā nazrāna
sanam-ḳhāne ke dar par ik parastār-e-haram aayā
uThāo jām-o-sāġhar mai-kasho kaalī ghaTā chhā.ī
manāo jashn-e-sahbā ghir ke phir abr-e-karam aayā
karā do ġhusl-e-mai ai bāda-ḳhvāro shaiḳh sāhab ko
bharī mahfil meñ maiḳhāne kī shaiḳh-e-mohtaram aayā
dikhā ke jaam chhalkāte haiñ mai-kash aaj vaa.iz ko
huī saaqī kī jab chashm-e-karam rindoñ meñ dam aayā
vahīñ se chal diyā 'shā.eq' maiñ fauran sū-e-mai-ḳhāna
mire aage jahāñ bhī qissa-e-dair-o-haram aayā
dil-e-mard-e-musalman mein kisi but ka qadam aaya
meri duniya mein tum aae ki patthar ka sanam aaya
pae-nazr-e-aqidat le ke jaan-o-dil ka nazrana
sanam-KHane ke dar par ek parastar-e-haram aaya
uThao jam-o-saghar mai-kasho kali ghaTa chhai
manao jashn-e-sahba ghir ke phir abr-e-karam aaya
kara do ghusl-e-mai ai baada-KHwaro shaiKH sahab ko
bhari mahfil mein maiKHane ki shaiKH-e-mohtaram aaya
dikha ke jam chhalkate hain mai-kash aaj waiz ko
hui saqi ki jab chashm-e-karam rindon mein dam aaya
wahin se chal diya 'shaeq' main fauran su-e-mai-KHana
mere aage jahan bhi qissa-e-dair-o-haram aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.