dil-e-muKHlis kahe bin baat dil ki jaan jata hai
dil-e-muḳhlis kahe bin baat dil kī jaan jaatā hai
salīqe se manā.eñ gar to rūThā maan jaatā hai
ye ḳhāmoshī na jaane aur kitne rañg badlegī
ġhulū ko duur se hī aadmī pahchān jaatā hai
bhale kitnā hī pyārā kyoñ na ho jaañ se judā ho kar
turābī jism vāpas be-sar-o-sāmān jaatā hai
baḌī mashġhūl rahtī soch hai bismil mirī aksar
havā lagtī hai to zaḳhmoñ kī jānib dhyān jaatā hai
mohabbat ham ne kī hai tujh se jānāñ aan par aa kar
tirā yuuñ chhoḌ kar jaanā ḳhilāf-e-shān jaatā hai
bulā kar dekh lo tum bhī kabhī 'abrār' fursat meñ
baḌī mushkil se ghar aayā huā mehmān jaatā hai
dil-e-muKHlis kahe bin baat dil ki jaan jata hai
saliqe se manaen gar to ruTha man jata hai
ye KHamoshi na jaane aur kitne rang badlegi
ghulu ko dur se hi aadmi pahchan jata hai
bhale kitna hi pyara kyon na ho jaan se juda ho kar
turabi jism wapas be-sar-o-saman jata hai
baDi mashghul rahti soch hai bismil meri aksar
hawa lagti hai to zaKHmon ki jaanib dhyan jata hai
mohabbat hum ne ki hai tujh se jaanan aan par aa kar
tera yun chhoD kar jaana KHilaf-e-shan jata hai
bula kar dekh lo tum bhi kabhi 'abrar' fursat mein
baDi mushkil se ghar aaya hua mehman jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.