dil-e-muztar ko samjhaya bahut hai
dil-e-muztar ko samjhāyā bahut hai
huā tanhā to ghabrāyā bahut hai
mubārak ho tujhe ye qasr-e-rañgīñ
mujhe dīvār kā saaya bahut hai
mire dil kā ye aalam bhī ajab hai
ki jis par aa gayā aayā bahut hai
tire is phuul se chehre ne ab ke
mire zaḳhmoñ ko mahkāyā bahut hai
tire va.adoñ meñ shāyad kuchh kamī hai
ufuq par chāñd gahnāyā bahut hai
ye daulat le ke 'anvar' kyā karūñgā
tirī yādoñ kā sarmāya bahut hai
dil-e-muztar ko samjhaya bahut hai
hua tanha to ghabraya bahut hai
mubarak ho tujhe ye qasr-e-rangin
mujhe diwar ka saya bahut hai
mere dil ka ye aalam bhi ajab hai
ki jis par aa gaya aaya bahut hai
tere is phul se chehre ne ab ke
mere zaKHmon ko mahkaya bahut hai
tere wadon mein shayad kuchh kami hai
ufuq par chand gahnaya bahut hai
ye daulat le ke 'anwar' kya karunga
teri yaadon ka sarmaya bahut hai
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 198)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.