dil-e-muztar se ulfat ki farawani nahin jati
dil-e-muztar se ulfat kī farāvānī nahīñ jaatī
nahīñ jaatī hai ya.anī ḳhū-e-insānī nahīñ jaatī
ye kyā dastūr kyā ā.īn-e-mai-ḳhāna hai ai saaqī
ki rindoñ kī yahāñ to baat bhī maanī nahīñ jaatī
mujhe ai shaiḳh kuchh muddat tū but-ḳhāne meñ rahne de
butoñ meñ baiTh kar dil se musalmānī nahīñ jaatī
shanāsā the sabhī apne ki jab tak baḳht yāvar thā
paḌī mushkil to ab sūrat bhī pahchānī nahīñ jaatī
ye kyā kahte ho ham un ko kahāñ DhūñDeñ kidhar DhūñDeñ
talāsh-e-yār meñ kyā ḳhaak bhī chhānī nahīñ jaatī
agar gul ko chaman se toḌ pheñkeñ ḳhār-zāroñ meñ
to phir bhī us kī vo bū-e-gulistānī nahīñ jaatī
kisī majbūr fitrat se gila kyūñ-kar kare koī
ki mār-e-āstīñ se zahr-afshānī nahīñ jaatī
bhulā kar bhī vo fann-e-shā.irī kī pur-kaThin rāheñ
'nashāt' apnī tabī.at kī ye jaulānī nahīñ jaatī
dil-e-muztar se ulfat ki farawani nahin jati
nahin jati hai yani KHu-e-insani nahin jati
ye kya dastur kya aain-e-mai-KHana hai ai saqi
ki rindon ki yahan to baat bhi mani nahin jati
mujhe ai shaiKH kuchh muddat tu but-KHane mein rahne de
buton mein baiTh kar dil se musalmani nahin jati
shanasa the sabhi apne ki jab tak baKHt yawar tha
paDi mushkil to ab surat bhi pahchani nahin jati
ye kya kahte ho hum un ko kahan DhunDen kidhar DhunDen
talash-e-yar mein kya KHak bhi chhani nahin jati
agar gul ko chaman se toD phenken KHar-zaron mein
to phir bhi us ki wo bu-e-gulistani nahin jati
kisi majbur fitrat se gila kyun-kar kare koi
ki mar-e-astin se zahr-afshani nahin jati
bhula kar bhi wo fann-e-shairi ki pur-kaThin rahen
'nashat' apni tabiat ki ye jaulani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.