Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil-e-muztar teri furqat mein bahlaya nahin jata

Jameela Khatoon Tasneem

dil-e-muztar teri furqat mein bahlaya nahin jata

Jameela Khatoon Tasneem

MORE BYJameela Khatoon Tasneem

    dil-e-muztar tirī furqat meñ bahlāyā nahīñ jaatā

    kisī pahlū se ye nādān samjhāyā nahīñ jaatā

    namak-pāshī mire zaḳhmoñ pe ye kah kah ke karte haiñ

    zarā baat meñ yuuñ ashk bhar laayā nahīñ jaatā

    Darātā kyuuñ hai ai nāseh mohabbat kashākash se

    phañsā kar dil ko is kūche se katrāyā nahīñ jaatā

    mirī zulfeñ haTā kar ruḳh se vo kahte haiñ hañs hañs kar

    añdherī raat hai aise meñ sharmāyā nahīñ jaatā

    ġham-o-ālām ne is darja ham ko kar diyā ghāyal

    ḳhud apnī dāstāñ ko ham se dohrāyā nahīñ jaatā

    baḌī is bekasī manzileñ pur-haul hotī haiñ

    kisī se jab koī 'tasnīm' apnāyā nahīñ jaatā

    dil-e-muztar teri furqat mein bahlaya nahin jata

    kisi pahlu se ye nadan samjhaya nahin jata

    namak-pashi mere zaKHmon pe ye kah kah ke karte hain

    zara si baat mein yun ashk bhar laya nahin jata

    Daraata kyun hai ai naseh mohabbat ki kashakash se

    phansa kar dil ko is kuche se katraya nahin jata

    meri zulfen haTa kar ruKH se wo kahte hain hans hans kar

    andheri raat hai aise mein sharmaya nahin jata

    gham-o-alam ne is darja hum ko kar diya ghayal

    KHud apni dastan ko hum se dohraya nahin jata

    baDi is bekasi ki manzilen pur-haul hoti hain

    kisi se jab koi 'tasnim' apnaya nahin jata

    Source :
    • Book : Pathan Shayraat ka Tazkira (Pg. 107)
    • Author : Khan Mohammad Atif
    • Publication : Khan Mohammad Atif (1983)
    • Edition : 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now