dil-e-na-subur ko phir wahi but-e-bewafa ki talash hai
dil-e-na-subur ko phir wahi but-e-bewafa ki talash hai
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
MORE BYMumtaz Ahmad Khan Khushtar
dil-e-nā-subūr ko phir vahī but-e-bevafā kī talāsh hai
ġham-e-ibtidā to uThā chukā ġham-e-intihā kī talāsh hai
kisī be-vafā kā gila bhī hai kisī bā-vafā kī talāsh hai
ye fareb-e-shauq ki dil ko phir kisī āshnā kī talāsh hai
tirā ġham hī ġham rahe 'umr-bhar tire ġham meñ ḳhud ko fanā karūñ
mujhe ibtidā-e-shu.ūr se isī intihā kī talāsh hai
ye vo jins hai ki jahān meñ jo na bik sake jo na mil sake
tujhe kyuuñ vafā kā junūn hai tujhe kyuuñ vafā kī talāsh hai
jo mile bhī ḳhizr to ab kahūñ ki salām āb-e-hayāt ko
na vo dil ko zauq-e-talab rahā na vo rahnumā kī talāsh hai
dil-e-nā-sazā ko ye chāhtā huuñ ki chaah meñ kahīñ Daal duuñ
use hai gunāh kī justujū to mujhe sazā kī talāsh hai
na.e hausle na.e valvale mirī justujū meñ mudām haiñ
mujhe intihā-e-talāsh meñ bhī to ibtidā kī talāsh hai
tire is ‘ilāj meñ dam nahīñ tirī bas kā rog ye ġham nahīñ
mire dard ke liye chāragar tujhe kyuuñ davā kī talāsh hai
mujhe justujū hai junūn kī mujhe be-ḳhudī kī hai aarzū
mire kārvān-e-hayāt ko kisī rahnumā kī talāsh hai
tire saath hai tire paas hai na judā samajh vo judā nahīñ
ye ḳhudī kā parda uThā ke dekh agar haañ ḳhudā kī talāsh hai
ye hai hashr-e-'ḳhushtar'-e-nā-tavāñ yahāñ nafsī-nafsī kā hai samāñ
mujhe ab hujūm-e-gunāh meñ shah-e-dosarā kī talāsh hai
dil-e-na-subur ko phir wahi but-e-bewafa ki talash hai
gham-e-ibtida to uTha chuka gham-e-intiha ki talash hai
kisi be-wafa ka gila bhi hai kisi ba-wafa ki talash hai
ye fareb-e-shauq ki dil ko phir kisi aashna ki talash hai
tera gham hi gham rahe 'umr-bhar tere gham mein KHud ko fana karun
mujhe ibtida-e-shuur se isi intiha ki talash hai
ye wo jins hai ki jahan mein jo na bik sake jo na mil sake
tujhe kyun wafa ka junun hai tujhe kyun wafa ki talash hai
jo mile bhi KHizr to ab kahun ki salam aab-e-hayat ko
na wo dil ko zauq-e-talab raha na wo rahnuma ki talash hai
dil-e-na-saza ko ye chahta hun ki chah mein kahin Dal dun
use hai gunah ki justuju to mujhe saza ki talash hai
nae hausle nae walwale meri justuju mein mudam hain
mujhe intiha-e-talash mein bhi to ibtida ki talash hai
tere is ‘ilaj mein dam nahin teri bas ka rog ye gham nahin
mere dard ke liye chaaragar tujhe kyun dawa ki talash hai
mujhe justuju hai junun ki mujhe be-KHudi ki hai aarzu
mere karwan-e-hayat ko kisi rahnuma ki talash hai
tere sath hai tere pas hai na juda samajh wo juda nahin
ye KHudi ka parda uTha ke dekh agar han KHuda ki talash hai
ye hai hashr-e-'KHushtar'-e-na-tawan yahan nafsi-nafsi ka hai saman
mujhe ab hujum-e-gunah mein shah-e-dosara ki talash hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.