dil-e-parkhun mein neza TuTta hai
dil-e-parkhūñ meñ neza TūTtā hai
sar-e-ehsās kyā kyā TūTtā hai
havā sar pīTtī hai shāḳh-e-jāñ se
kahīñ jo duur ġhuncha TūTtā hai
par-e-tā.ūs raqs-e-rang-o-nik.hat
kahīñ pairoñ se taara TūTtā hai
kahīñ ghuñghrū kahīñ shīsha kahīñ dil
kahīñ ahd-e-vafā sā TūTtā hai
kahīñ barfāb ho jaatī haiñ dhūpeñ
kahīñ saaya sarāpā TūTtā hai
mashām-e-jāñ munavvar barg-e-gul sā
sar-e-marqad hayūlā TūTtā hai
maiñ dab jaatā huuñ be-āvāz 'zāhid'
jahāñ ma.abad kā malba TūTtā hai
dil-e-parkhun mein neza TuTta hai
sar-e-ehsas kya kya TuTta hai
hawa sar piTti hai shaKH-e-jaan se
kahin jo dur ghuncha TuTta hai
par-e-taus raqs-e-rang-o-nikhat
kahin pairon se tara TuTta hai
kahin ghunghru kahin shisha kahin dil
kahin ahd-e-wafa sa TuTta hai
kahin barfab ho jati hain dhupen
kahin saya sarapa TuTta hai
masham-e-jaan munawwar barg-e-gul sa
sar-e-marqad hayula TuTta hai
main dab jata hun be-awaz 'zahid'
jahan mabad ka malba TuTta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.