dil-e-rahat-talab bezar bhi hai
dil-e-rāhat-talab bezār bhī hai
ye dīvāna zarā hushiyār bhī hai
hamārī baat kī tā.īd kar ke
hamārī baat se inkār bhī hai
lagā kar dil kī baazī sochte haiñ
agar jiite to apnī haar bhī hai
tabī.at hī nahīñ maujūd varna
chaman meñ phuul bhī hai ḳhaar bhī hai
tumheñ is baat par hairat to hogī
ki mujh ko zindagī se pyaar bhī hai
bahut āsān hai tark-e-mohabbat
magar 'ishrat' zarā dushvār bhī hai
dil-e-rahat-talab bezar bhi hai
ye diwana zara hushiyar bhi hai
hamari baat ki taid kar ke
hamari baat se inkar bhi hai
laga kar dil ki bazi sochte hain
agar jite to apni haar bhi hai
tabiat hi nahin maujud warna
chaman mein phul bhi hai KHar bhi hai
tumhein is baat par hairat to hogi
ki mujh ko zindagi se pyar bhi hai
bahut aasan hai tark-e-mohabbat
magar 'ishrat' zara dushwar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.