dil-e-ranjur se likha usne
dil-e-ranjūr se likhā us ne
ishq kāfūr se likhā us ne
rail-gāḌī meñ apnī majbūrī
dast-e-ma.azūr se likhā us ne
kal achānak hī apnī khiḌkī par
hijr sindūr se likhā us ne
ham to qaarī haiñ us ujāle ke
nuur jo nuur se likhā us ne
vaqt par ho nahīñ sakā irsāl
ḳhat bahut duur se likhā us ne
ḳhāksārī mirī samā.at par
lafz-e-māmūr se likhā us ne
dil-e-ranjur se likha us ne
ishq kafur se likha us ne
rail-gaDi mein apni majburi
dast-e-mazur se likha us ne
kal achanak hi apni khiDki par
hijr sindur se likha us ne
hum to qari hain us ujale ke
nur jo nur se likha us ne
waqt par ho nahin saka irsal
KHat bahut dur se likha us ne
KHaksari meri samaat par
lafz-e-mamur se likha us ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.