dil-e-raqib to dekha mera jigar dekhen
dil-e-raqīb to dekhā mirā jigar dekheñ
udhar ke dekhne vaale zarā idhar dekheñ
kisī ke husn pe haiñ aisī shefta āñkheñ
parī jo sāmne aa.e na ek nazar dekheñ
abhī nahā.e haiñ kapḌe badalne baiThe haiñ
majāl kyā hai hamārī jo ham udhar dekheñ
hazāroñ sūrat-e-mūsā haiñ tālib-e-dīdār
jo ek ho to vo dekheñ kidhar kidhar dekheñ
hamāre dil meñ jo hasrat hai jo tamanna hai
na māneñge na sahī aaj arz kar dekheñ
koī jagah nahīñ ḳhālī hai tere jalve se
kahāñ kahāñ tujhe dekheñ kidhar kidhar dekheñ
jo iztirābī-e-dil kā na ho yaqīn un ko
hamārī tarah se vo bhī kisī pe mar dekheñ
raqīb aa.ina 'naushād' aur dil-e-'naushād'
vo ek dekhne vaale kidhar kidhar dekheñ
dil-e-raqib to dekha mera jigar dekhen
udhar ke dekhne wale zara idhar dekhen
kisi ke husn pe hain aisi shefta aankhen
pari jo samne aae na ek nazar dekhen
abhi nahae hain kapDe badalne baiThe hain
majal kya hai hamari jo hum udhar dekhen
hazaron surat-e-musa hain talib-e-didar
jo ek ho to wo dekhen kidhar kidhar dekhen
hamare dil mein jo hasrat hai jo tamanna hai
na manenge na sahi aaj arz kar dekhen
koi jagah nahin KHali hai tere jalwe se
kahan kahan tujhe dekhen kidhar kidhar dekhen
jo iztirabi-e-dil ka na ho yaqin un ko
hamari tarah se wo bhi kisi pe mar dekhen
raqib aaina 'naushad' aur dil-e-'naushad'
wo ek dekhne wale kidhar kidhar dekhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.