dil-e-sad-chaak mein kya rah gaya hai
dil-e-sad-chāk meñ kyā rah gayā hai
lahū bah bah ke aadhā rah gayā hai
jahāñbānī rahā thā jis kā sheva
vo bilkul be-sahārā rah gayā hai
banā baiThe haiñ kitne but jahāñ meñ
jo sachchā hai vo tanhā rah gayā hai
adāvat ke ye kis ne biij bo.e
har ik insāñ akelā rah gayā hai
tujhe 'sādī' thī dariyā kī bashārat
magar āñkhoñ meñ sahrā rah gayā hai
dil-e-sad-chaak mein kya rah gaya hai
lahu bah bah ke aadha rah gaya hai
jahanbani raha tha jis ka shewa
wo bilkul be-sahaara rah gaya hai
bana baiThe hain kitne but jahan mein
jo sachcha hai wo tanha rah gaya hai
adawat ke ye kis ne bij boe
har ek insan akela rah gaya hai
tujhe 'sadi' thi dariya ki bashaarat
magar aankhon mein sahra rah gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.