dil-e-shikasta bhi tha koi raazdan bhi na tha
dil-e-shikasta bhī thā koī rāzdāñ bhī na thā
vo mehrbāñ sahī par itnā mehrbāñ bhī na thā
rivāyatoñ ke tilismāt toḌ kar ye khulā
ġham-e-zamāna koī jaur-e-āsmāñ bhī na thā
muāmalāt ġham-e-dostī salāmat-bāsh
vo e'tibār ki andesha-e-gumāñ bhī na thā
zamāna-sāz kabhī taba-e-mah-ruḳhāñ bhī na thī
ki is mizāj kā andāz-e-dil-barāñ bhī na thā
mohabbatoñ ke qarīne badal ga.e āḳhir
maiñ is ke dar pe jo pahuñchā to pāsbāñ bhī na thā
tamām shahr pe taarī hai kaisā sannāTā
sukūt-e-sub.h meñ āvāza-e-azāñ bhī na thā
dil-e-shikasta bhi tha koi raazdan bhi na tha
wo mehrban sahi par itna mehrban bhi na tha
riwayaton ke tilismat toD kar ye khula
gham-e-zamana koi jaur-e-asman bhi na tha
muamalat gham-e-dosti salamat-bash
wo e'tibar ki andesha-e-guman bhi na tha
zamana-saz kabhi taba-e-mah-ruKHan bhi na thi
ki is mizaj ka andaz-e-dil-baran bhi na tha
mohabbaton ke qarine badal gae aaKHir
main is ke dar pe jo pahuncha to pasban bhi na tha
tamam shahr pe tari hai kaisa sannaTa
sukut-e-subh mein aawaza-e-azan bhi na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.