dil-e-shikasta ki nim-jaan KHwahishon ko jina sikha rahi hai
dil-e-shikasta ki nim-jaan KHwahishon ko jina sikha rahi hai
imtiyaz Khan
MORE BYimtiyaz Khan
dil-e-shikasta kī nīm-jāñ ḳhvāhishoñ ko jiinā sikhā rahī hai
nigāh-e-afsūñ-bayān us kī butoñ se sajda karā rahī hai
ye phuul ḳhushbū ye chāñd-tāre ye girtī būñdeñ ye abr-pāre
sab us kī aamad ke muntazir haiñ vo ḳhud ko sabse chhupā rahī hai
ye chāñdnī meñ nahāyā dariyā ye mahfil-e-shab bhī ḳhuub lekin
maiñ chāñd par jā rahā huuñ mujh ko vo ik za.īfa bulā rahī hai
jo reg-e-dil pe likhā hai us ko dukhoñ kā paanī miTā na Daale
maiñ ḳhvāb dekhe hī jā rahā huuñ ye aañkh barse hī jā rahī hai
kabhī ḳhamoshī kabhī tabassum kabhī ḳhayāloñ kī dhuñd meñ gum
mirī udāsī to har qadam par qabā badaltī hī jā rahī hai
vo ḳhush-bayāñ 'imtiyāz' vo lafz lafz jaadū chalāne vaalā
vo kal milā thā to kah rahā thā ḳhamoshī andar se khā rahī hai
dil-e-shikasta ki nim-jaan KHwahishon ko jina sikha rahi hai
nigah-e-afsun-bayan us ki buton se sajda kara rahi hai
ye phul KHushbu ye chand-tare ye girti bunden ye abr-pare
sab us ki aamad ke muntazir hain wo KHud ko sabse chhupa rahi hai
ye chandni mein nahaya dariya ye mahfil-e-shab bhi KHub lekin
main chand par ja raha hun mujh ko wo ek zaifa bula rahi hai
jo reg-e-dil pe likha hai us ko dukhon ka pani miTa na Dale
main KHwab dekhe hi ja raha hun ye aankh barse hi ja rahi hai
kabhi KHamoshi kabhi tabassum kabhi KHayalon ki dhund mein gum
meri udasi to har qadam par qaba badalti hi ja rahi hai
wo KHush-bayan 'imtiyaz' wo lafz lafz jadu chalane wala
wo kal mila tha to kah raha tha KHamoshi andar se kha rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.