dil-e-shikasta ko rangon se phir sajata nur
dil-e-shikasta ko rangoñ se phir sajātā nuur
tire ḳhayāl kī chilman se chhan ke aatā nuur
ye dikh rahī haiñ jo tasvīr meñ tumheñ āñkheñ
jo dekhte mirī nazroñ se to dikhātā nuur
kabhī nazar kī taraf dekhtā hai ḳhud manzar
kabhī nazar pe fidā hone ḳhud hai aatā nuur
vo merā ho ki na ho kyā ġharaz mujhe is se
havas charāġh kī tum ko mujhe hai bhātā nuur
so tang aa ke savāloñ se le liyā tirā naam
mire charāġh maiñ kis kis se ab chhupātā nuur
milā na tū mujhe jab thī dil-o-nazar kī hayāt
maiñ dil ke shīshe meñ bhar kar tujhe pilātā nuur
hazār manzar-e-ḳhush-rang sub.h laa.ī to hai
hazār ḳhvāb bhī bichhḌe haiñ az-dujā tā-nūr
dil-e-shikasta ko rangon se phir sajata nur
tere KHayal ki chilman se chhan ke aata nur
ye dikh rahi hain jo taswir mein tumhein aankhen
jo dekhte meri nazron se to dikhata nur
kabhi nazar ki taraf dekhta hai KHud manzar
kabhi nazar pe fida hone KHud hai aata nur
wo mera ho ki na ho kya gharaz mujhe is se
hawas charagh ki tum ko mujhe hai bhata nur
so tang aa ke sawalon se le liya tera nam
mere charagh main kis kis se ab chhupata nur
mila na tu mujhe jab thi dil-o-nazar ki hayat
main dil ke shishe mein bhar kar tujhe pilata nur
hazar manzar-e-KHush-rang subh lai to hai
hazar KHwab bhi bichhDe hain az-duja ta-nur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.