dil-e-shorida-sar hai aur main hun
dil-e-shorida-sar hai aur main hun
Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi badayuni
MORE BYNawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi badayuni
dil-e-shorīda-sar hai aur maiñ huuñ
harīf-e-fitna-gar hai aur maiñ huuñ
ġham-e-shām-o-sahar hai aur maiñ huuñ
sitāroñ par nazar hai aur maiñ huuñ
kisī kā sang-e-dar hai aur maiñ huuñ
ilāj-e-dard-e-sar hai aur maiñ huuñ
jise kahiye balā-e-ahd-e-pīrī
vo shām-e-be-sahar hai aur maiñ huuñ
jo pahle thā ġham-e-dil aaj bhī vo
ba-unvān-e-digar hai aur maiñ huuñ
vo apnā dil udhar bahlā rahe haiñ
idhar dard-e-jigar hai aur maiñ huuñ
qayāmat bhī vahīñ barpā huī hai
jahāñ un kī nazar hai aur maiñ huuñ
abhī baaqī haiñ do āvāra-e-dasht
rah-e-ġham meñ ḳhizar hai aur maiñ huuñ
ḳhudā jaane mujhe kyā ho gayā hai
savāl-e-muḳhtasar hai aur maiñ huuñ
bajā hai kyoñ yahāñ aane lage tum
ye ik vīrāñ sā ghar hai aur maiñ huuñ
dil-e-shorida-sar hai aur main hun
harif-e-fitna-gar hai aur main hun
gham-e-sham-o-sahar hai aur main hun
sitaron par nazar hai aur main hun
kisi ka sang-e-dar hai aur main hun
ilaj-e-dard-e-sar hai aur main hun
jise kahiye bala-e-ahd-e-piri
wo sham-e-be-sahar hai aur main hun
jo pahle tha gham-e-dil aaj bhi wo
ba-unwan-e-digar hai aur main hun
wo apna dil udhar bahla rahe hain
idhar dard-e-jigar hai aur main hun
qayamat bhi wahin barpa hui hai
jahan un ki nazar hai aur main hun
abhi baqi hain do aawara-e-dasht
rah-e-gham mein KHizar hai aur main hun
KHuda jaane mujhe kya ho gaya hai
sawal-e-muKHtasar hai aur main hun
baja hai kyon yahan aane lage tum
ye ek viran sa ghar hai aur main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.