dil-e-tabah bhi hai aalam-e-KHarab bhi hai
dil-e-tabāh bhī hai ālam-e-ḳharāb bhī hai
nigāh-e-dost yahī vaqt-e-inqalāb bhī hai
do-ātisha sar-e-ruḳhsār ho ga.e aañsū
guloñ pe qatra-e-shabnam nahīñ sharāb bhī hai
nigāh-e-shauq larazte haiñ taar chilman ke
talāsh kar inhī kirnoñ meñ āftāb bhī hai
kahāñ se dekhiye mauj-e-surūr uThtī hai
nigāh-e-nāz bhī hai sāġhar-e-sharāb bhī hai
ḳhilāf-e-ahl-e-safīna hī nāḳhudā se nahīñ
jabīn-e-bahr pe larzāñ ḳhat-e-itāb bhī hai
havā-e-dahr ne phir dāmanoñ pe Daal diyā
vo gard jis meñ nihāñ bū-e-inqalāb bhī hai
ai jastgān-e-rah-e-ġham chale chalo aage
koī maqām ba-nām-e-bahisht-e-ḳhvāb bhī hai
yahī vo 'mānī' hai salmā-e-gonDvāna tirā
jo faiz-e-ruḳh se tire sāhib-e-kitāb bhī hai
dil-e-tabah bhi hai aalam-e-KHarab bhi hai
nigah-e-dost yahi waqt-e-inqalab bhi hai
do-atisha sar-e-ruKHsar ho gae aansu
gulon pe qatra-e-shabnam nahin sharab bhi hai
nigah-e-shauq larazte hain tar chilman ke
talash kar inhi kirnon mein aaftab bhi hai
kahan se dekhiye mauj-e-surur uThti hai
nigah-e-naz bhi hai saghar-e-sharab bhi hai
KHilaf-e-ahl-e-safina hi naKHuda se nahin
jabin-e-bahr pe larzan KHat-e-itab bhi hai
hawa-e-dahr ne phir damanon pe Dal diya
wo gard jis mein nihan bu-e-inqalab bhi hai
ai jastgan-e-rah-e-gham chale chalo aage
koi maqam ba-nam-e-bahisht-e-KHwab bhi hai
yahi wo 'mani' hai salma-e-gonDwana tera
jo faiz-e-ruKH se tere sahib-e-kitab bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.