dil-e-tabah ho KHandan nahin to kuchh bhi nahin
dil-e-tabāh ho ḳhandāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ
ḳhizāñ meñ rañg-e-bahārāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ
vo dil jo nām-e-mohabbat pe muskurātā hai
harīf-e-gardish-e-daurāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ
ye karb-o-āh kī duniyā ajiib duniyā hai
agar hayāt ġhazal-ḳhvāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ
jahāñ kī ḳhaak jo chhāne koī to kyā hāsil
tavāf-e-kūcha-e-jānāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ
zamāna laakh taraqqī kiyā kare lekin
diloñ meñ azmat-e-insāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ
dil-e-tabah ho KHandan nahin to kuchh bhi nahin
KHizan mein rang-e-bahaaran nahin to kuchh bhi nahin
wo dil jo nam-e-mohabbat pe muskuraata hai
harif-e-gardish-e-dauran nahin to kuchh bhi nahin
ye karb-o-ah ki duniya ajib duniya hai
agar hayat ghazal-KHwan nahin to kuchh bhi nahin
jahan ki KHak jo chhane koi to kya hasil
tawaf-e-kucha-e-jaanan nahin to kuchh bhi nahin
zamana lakh taraqqi kiya kare lekin
dilon mein azmat-e-insan nahin to kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.